Virat kohli biography in hindi

Virat kohli biography in hindi :


Virat kohli, jinke bareme kon nahi janta. jo ki bharatiya cricket team ke diggaz khiladi hai. bhartiya cricket team ke khiladi sachin tendulkar aur mahendra singh dhoni ke baad jis khiladi ne bhartiya cricket team ko majbuti di hai aur apni dhak banayi hai wo hai virat kohli. jisne cricket me apne sandar pradarshn se bache bache ke dil me jagah banai hai.



Unhe bhartiya cricket ka back bon kaha jata hai, kyu ki wo daye hath se khelne wale international cricketer aur sabse pratibhashali aur honhar cricketers me se ek hai. vartaman me virat kohli bhartiya cricket team ke captain hone ke sath sath senkado youth ke style icon bhi hai.


virat kohli biography in hindi,virat kohli biography,virat kohli,virat kohli life story,virat kohli biography and struggle story in hindi,biography in hindi,virat kohli life story in hindi,virat kohli family,virat kohli batting,virat kohli story in hindi,virate kohli bio,virat kohli lifestyle,biography of virat kohli,biography,virat kohli biography in hindi language,virat kohli story,virat,kohli
Virat kohli biography in hindi



Virat kohli biography in hindi

Full name : Virat prem kohli
DOB : 05/11/1988
Birthplace : Delhi
Nickname : chikku
Mother : saroj kohli
Father : premji
Spouse : Anushka sharma ( Bollywood actress )


All about virat kohli ( virat kohli ki jankari )
Bhartiya cricket team ke diggaj khiladi virat kohli ka janma 05 november 1988 me delhi ke ek panjabi parivar me hua tha.  unke pita prem kohli jo ki ek criminal advocate the aur unki mata ka naam saroj kohli hai jo ki ek sadharan gharelu mahila hai aur apne parivar ki dekhrekh karti hai. ishke alawa virak kohli ka ek bada bhai vikash aur ek badi bahen bhavna bhi hai.



Aapko batade ki virat jab 3 saal ka the, tabhi se virat ka priya khilone me se cricket ka ball tha. jaise jaise virat ki umra badhti gayi unka cricket ki aur jyada man lagne laga.

Wahi virat ke pita ne suruat se hi virat ki dilsaspa ko samaj liya tha. ishi liye wo har roj virat ko cricket ki training ke liye lekar jate the.


 Education of virat kohli :

 

Bhartiya cricketer virat kohli ki praranbhik shiksha vishal bharti public school delhi se huyi thi. padhay likhay me to virat average the, lekin inka sara dhyan hummesa se cricket par hi raha tha. jiske chalte virat ke pita ne 9 saal ki umra me hi cricket club me dakhila karva diya tha. taki virat kohli ko cricket ki barikiyo ke bareme pata chale.

Suruat se hi virat ka cricket par dhyan tha. wahi sirf sport me interest hone ki wajah se unho ne karib 12 tak hi padhay ki hai aur iske baad unhi ne puri tarah cricket ki aur dhyan lagana suru kiya. aapko batade ki inhone raj kumar sharma se delhi cricket sikha aur sumit daungra naam ki academy me pehla match khela.



Virat kohli career story :


Virat kohli daye hath ke ballebaj hai, jinhone saal 2002 me under-15 pratiyogita kheli thi. jinke baad 2006 me virat kohli ka chayan under seventeen me hua tha. jinke baad unke khel ke tarike se kai tarah ke badalav dekhe gaye. uske baad saal 2008 me virat kohli ko under - 19 pratiyogita ke liye chuna gaya tha.

Aapko bata de ki virat kohli ka under - 19 vishwa cup match malaysia me hua tha aur inho ne is match me india ko jit dilvay thi. ishi match ke baad virat ka one day international match ke liye selection hua. unhone yeh match shree lanka ke khilaf khela tha. aur fir unhe 2011 me world cup khelne ka moka mila tha aur usme bhi team india ki jit huyi thi.

Ishke baad ve ek ke baad ek match khelte gaye aur ab unki ginti sabse ache ballebajo me hone lagi hai aur ab we cricket ki duniya me jane mane khiladi ke rup me mashur hai.



* virat kohli one day match career

Aapko batade ki saal 2011 me virat kohli ne test match me apni jagah banali thi ishke baad unhone ODI me 6 player ke sthan pe bating ki suruat ki. ish dauran unhe 2 match's me haar ka bhi samna karna pada lekin wo har se we kabhi niras nahi hua balki unho ne unse sikh mili aur fir uske baad us match me unhone 116 run banaye.

Read this ::

Mahendra singh dhoni biography in hindi

Akshay kumar biography in hindi,

Sania mirza biography in hindi,

Indira gandhi biography in hindi



Wahi yah match bharat ko nahi jita paya lekin is match me shatak banane wale ek matra bhartiya cricketer ban chuke.

Yahi nahi balki unki baad virat kohli ne comon wealth baink trigular series me australia aur shree lanka ke khilaf 7 match's me se 2 me jit hasil ki. wahi final me jane ke liye shree lanka ke khilaf 321 run ka target tha jinme se virat kohli ne 133 run bana kar bharat ko jit dilvay aur man of the match ka khitab jita.


:: Read this ::


Virat kohli ke behtar pradarsan ko dekh kar unhe ek ke baad ek lagatar khel ke moke mil rahe the. unhe 2012 me asia cup ke liye vice - captain chuna gaya tha. ish dauran virat ko bhartiya cricket team ka captain banane ki baat bhi ki ja rahi thi.

Yah kaha gaya ki agar virat ishi tarah pradarsan karte rahe to unhe bhartiya cricket team ke captain banaye jayenge aur baad me unhe india team ka captain bhi chuna gaya.

Aapko batade ki pakistan ke khilaf unhone one day international match me 148 ball me 183 run banaye, aur ish match me behtarin pradarsan karke 330 run ka record banaya aur unhe ek baar fir man of the match banaya gaya.


IPL me virat kohli ka career

IPL full form :
Indian Premier League

Virat kohli ne saal 2008 me IPL ka pehla match khela tha. ish dauran virat ko Royal Challengers Banglor ( RCB ) ki team ke liye 20 lakh Rs. me kharida tha. inhone tab 13 matches me 165 run banaye the aur 15 ka average tha.

Saal 2009 me inhone RCB ko final tak pahuchaya tha. us dauran anil kumbale ne bhi virat ki jam kar tarif ki thi. lekin abhi tak indian team me virat ka naam permanent nahi hua tha.

2014 me virat kohli ka pradarsan kuch khas nahi raha. inhone karib 37 run ke average pe khela. ishi dauran MS dhoni ne test captain se retirement liya. jiske baad test ki captani virat ko chopi gay.

Captain ki jimedari virat ne ache se nibhayi aur apni team ko majbut karne me jud gaye. iske baad ye 2015 me 500 run ka record todne me safal rahe.



2016 me virat kohli ne asia cup aur T-20  me bharat ke liye aur IPL me RCB me khele matches me apna sandar pradarsan kiya aur ab virat kohli ka khelne ka andaz logo ko akarshit karne laga tha ishi liye inki lok priyata badhti ja rahi thi. wahi 2018 me unhe IPL ke liye 18 crore me kharida gaya.

Iske alawa virat kohli ne apne T-20 international match ke career me shandar pariya khel ke kayi records apne naam kiye lekin kahi baar unhe haar ka bhi samna karna pada.

Aapko batade ki puri duniya me sirf 8 cricketers ne 20 ODI matches me shatak banaye hai aur un 8 cricketer's me virat ka naam bhi shamil hai. aapko batade ki virat 20 ODI me sabse tez shatak banane wale ballebaj hai. inke pehle sachin tendulkar ka naam tha.

Yahi nahi cricket ke mahan khiladi sachin tendulkar, saurav aur dhoni ke baad virat kohli ODI me 3 saal me lagatar 1000 se jyada run banane wale 4th cricketer bane.

Virat kohli 1000, 3000, 4000 aur 5000 run ka record banane wale sabse tezz bhartiya cricketer hai. ishi ke sath sath 5000 run banane wale international cricketero me se ek hai.


:: Virat kohli record's



* saal 2011 me world cup me century banayi.
* karib 22 saal me ODI me 100 run banane wale 3rd bhartiya cricketer.
* ODI me 1000, 3000, 4000 aur 5000 run banane wale 1st bhartiya khiladi.
* 2013 me jaypur me australia ke khilaf 52 balls me century banayi.
* ODI me 7500 runs banane wale sabse tez bhartiya cricketer hai.


Virat kohli get award's

Virat kohli ko aaj safalta ke is mukam tak pahuch ne me unhe kai sari pareshaniyo ka samna karna pada. we kai vivado me rah chuke hai. wahi cricket me apne yogdan ke liye virat ko kai sare awards se sanmanit kiya gaya hai.

*  2012 - People choice award for favorite cricketer.
* 2012 - ICC ODI player of the year award.
* 2013 - Arjun award for the cricket.
* 2017 - CNN - IBN indian of the year.
* 2017 - Padhma shree award.
* 2018 - Sir Garfield Sobers trophy


Virat kohli marriage :

Bollywood actress anushka sharma ke sath december 2017 me shadi ke bandhan me bandh gaye.

iske alawa virat kohli apne look ke liye bhi kafi sarcha me rahe hai. badi matra me youth virat ke look ko follow karte hai. yahi nahi virat apni fitness ko lekar kafi gambhir hai. filhal virat aise hi cricket ki duniya me apna naam kamate rahe aur bharat ka naam aage badhaye yahi hamari kamna hai.



Agar aapke paas virat kohli ke bareme aur bhi janakariya hai to hame comment karke bataye aur is article me apko kahi par bhi galat jankari lage to hame bataye hume ushe upgrade karte rahenge aur hame follow aur comment karke bataye ki aapko virat kohli biography in hindi kaisa laga.


Click here for home


Vipul Rathod

मेरा नाम Vipul Rathod है। मैं इस Blog का Founder और Content writer हूँ। हमारा इस Blog को बनाने का मुख्य उद्देश्य हिंदी भाषी लोगों को इंटरनेट से जुड़ी जानकारी प्रदान करवाना है। यहाँ आपको शिक्षा, तकनिकी, कंप्यूटर और मेक मनी से जुड़ी हर तरह की जानकारी मिलने वाली है।

Post a Comment

Thank for comment on Vipul Rathod Tech

Previous Post Next Post