Affiliate marketing kya hai




Important note :

Is post se hum kisi bhi prakar ka promotion ya kisi website ki bhavnao ke thes pohsana nahi balki hum is post ke madhyam se apne sabhi visitors ko affiliate marketing kya hai wo batane ja rahe hai to jo bhi kisi ke bareme is post me bataya jaye kripya karke aap iska galat meaning mat nikale.


Affiliate marketing kya hai :

 to dosto aaj ki is post ke madhyam se me aapko bataunga affiliate marketing ke bareme to aap affiliate marketing ke bareme jyada jankari pane ke liye last tak bane rahiye hamare sath,

Affiliate marketing aap jitne chaho utne website se kar sakto ho lekin kisi bhi product ko sell karne ke liye aapke paas sahi idea hona bahot hi jaruri hai agar aap bina jankari affiliate marketing suru kare dete ho to mera manna ye hai ki wo sab bekar hai kyu ki agar aapko pata hi nahi hai ki affiliate marketing kya hai to aapko product ko sell kaise kar paoge to aaj hun aapko is article me sabhi satik janjari aap tak pahuchayenge.

Vipulrathodtech.in , affiliate marketing,affiliate marketing kya hai,affiliate marketing for beginners,what is affiliate marketing,affiliate marketing in hindi,amazon affiliate program,how to earn online from affiliate marketing,affiliate marketing tutorial,amazon affiliate marketing,affiliate,affiliate marketing se paise kaise kamaye,affiliate marketing without a website,marketing,affiliate earning,affiliate marketing amazon
Affiliate marketing kya hai

Affiliate marketing


Affiliate marketing yani kisi bhi selling website ke sath affiliate partnership join karke uske sath uske website se jo bhi product aap sell karwate ho aur us sald product se jo bhi discount ke jariye wo website aapko paise deti hai ushe affiliate marketing kaha jata hai. affiliate marketing kaise suru karna hai aur kisi bhi product ko kaise sell karna hai wo bhi me aapko bataunga to ek bhi topic aap mis nahi karna hai post ko pura dhyan se padhiyega.


Affiliate marketing suru kaise kare


Affiliate program join karne ke liye aapko kisi bhi selling website ke affiliate marketing program me join ho jana hai, me aapko suggest karunga aap jo bhi popular aur trusted websites hai ushe hi join kare taki aapko koy products ko sell karne me asani rahe. me abhi jo affiliate marketing program use kar raha hu wo hai amazon ka aap koy bhi use kar sakte ho filhal to amazon aur flipkart dono affiliate marketing ke jariye kafi popular ban suke hai.
Affiliate marketing program join hone ke liye aap koy bhi website open karte ho to usme likha rehta hai "join our affiliate program" to uspe aap ne click karna hai aur jo form open hota hai ushe fillup karke aapne ushe submit kar dena hai, submit karne ke baad aapko ek associate account id diya jayega jinhe aap ush website me jake login kar lijiye fir aapne affiliate marketing kaise karna hai wo bhi me aapko batata hu.


Read this ::



Copy product link


Kisi bhi product ko sell karne ke liye aapko us product ka link generat karna hoga kyu ki aap kahi se bhi link copy karke share kardete ho to aise affiliate marketing nahi hota hai wiase link se aapko koy bhi benefits nahi milne wala ishi liye sahi sahi link kaise generat karna hai wo aapko pata hona bahot hi jaruri hai.

Product ka link copy karne se pehle aapko jo bhi affiliate program hai us ki website ke sath aapna associate account bhi login karna hai uske baad aap jo bhi product ka link copy karna chahte ho us product ko open kijiye uske baad apko upar ki aur 'get link' karke ek option milega, aapke affiliate me generat link ya kuch aur bhi mil sakta hai to aapne uspe click karna hai aur jo link generat ho ke dikhega ushe aap copy kar lijiye. ab is wale link ko kaha par share karna hai aur kaise wo me aapko batata hu.


Product review :


Jo bhi product ko aap sell karna chahte ho us product ko aapne review karna hoga tabhi jake koy aapne share kiye huye product ko purchage karega. ek baat ka aapko dhyan rakhna hai aapko affiliate link ko kabhi bhi WhatsApp pe share nahi karna hai kyu waha se aane wale customer pe affiliate marketing paise nahi deta hai kyu ko wo sabhi aapke personal members hote hai to aapko us product ka review wo sabhi jagah pe karna hai jaha se 100% orginal traffic aaye. jab bhi kisi product ko review karte ho tu review ke sath me apna affiliate link dal dijiye jaha se koy bhi user aapke review ko dekhne ke baad sidha affiliate link se us website tak pahoch paye.
Jab koy bhi user aapke share kiye hua affiliate link se us product tak aayega aur product ko purchase karega to sidha uska discount aapko nahi milega, us product ka paisa tab milta hai jab order successful compete ho jata hai matalab ki jo bhi product hai wo customer arrived nahi kar leta tab tak aapko paise nahi milenge, agar kisi ne koy bhi product apke affiliate link se purchase kar liye aur baad me wo order return ho gaya to us time pe aapko kisi bhi prakar ka paisa nahi milega to aap meri is baat ko samaj gaye hone ki mera kehne ka kya matalab hai.


Affiliate link cookies 


Aap kisi product ko sell karne ke liye ushe review karke sath me affiliate link share karte ho to us link se agar koy bhi visitors us product tak jayega badme usko wo product pasand nahi aayega aur wo us website se exit ho jata hai fir wo 24 ghante ke andar andar firse us website pe aayega aur baad me wo koy bhi product agar us website se purchase karega na tab bhi aapko affiliate ka discount mil jayega lekin sirf 24 ghante ke andar andar hi kyu jo aapne pehle affiliate link share kiya tha us link se wo is website pe aayega to uska jo cookies data hota hai wo us website pe 24 hours tak save ho jata hai ishi liye wo visitors agar 24 ghante me kabhi bhi koy bhi product ko purchage karega to uska discount aapko de diya jayega, jaruri nahi hai ki aapne jis product ka link diya hai sirf ushe hi purchase karega to hi aapko paise milega aisa bilkul bhi nahi hai agar wo kisi aur product ko purchase karta hai tab bhi uska discount milega kyu wo is website pe aaye to aapke diye huye link se hi na ishi liye aapko kisi bhi product ka discount mil jayenga.


I hope ki ab aapko pata chal gaya hoga ki affiliate marketing kya hai to is post ko likhne par sirf mera yahi maksad tha ki aapko sabse badhiya tarike se jamjau ki affiliate marketing kya hai. agar abhi bhi aapko koy sawal hai ya mere se koy topic rah gaya hai to aap hame comment karke jarur bataye.


More Post : Click here

Vipul Rathod

मेरा नाम Vipul Rathod है। मैं इस Blog का Founder और Content writer हूँ। हमारा इस Blog को बनाने का मुख्य उद्देश्य हिंदी भाषी लोगों को इंटरनेट से जुड़ी जानकारी प्रदान करवाना है। यहाँ आपको शिक्षा, तकनिकी, कंप्यूटर और मेक मनी से जुड़ी हर तरह की जानकारी मिलने वाली है।

Post a Comment

Thank for comment on Vipul Rathod Tech

Previous Post Next Post